- 62 Posts
- 157 Comments
hamare desh ki prachin sanskriti hai athithi devo bhav arthat mehman bhagwan ka rup hota hai.
par hamare desh ke janpratinidhiyo ne ise badal diya hai aur athithi devo bhav ko aatankwadi devo bhav bana diya hai.
ham aatankwadiyo ko saja dene ki jagah unhe five star hotalo jaisi vyawastha wale jailo me rakhte hai,unki har mang minto me puri karte hai,aur fir kisi n kisi majburi ka hawala dekar unhe ssamman unke desh tak pahuchate hai.
bhopal gas kand ke mukhya abhiyukt ANDARSAN ho ya KANDHAR me chhode gaye khunkhar aatankwadi hamne unhe unke ghar tak pahuchaya
ab SANSAD kand k AFJAL ho ya MUMBAI kand k KASAB dono ko saja dilane ki himmat n to sarkare kar paa rahi hai na hi court.
ab janta ko jagana hoga,aise netao ko bhagana hoga aur is desh me shanti,khushali lana hoga
jai hind
rudra
Read Comments